Full Form

Computer Full Form क्या होता है जाने हिंदी में

Computer Full Form
Written by A to Z Classes

Computer Full Form: Hello Friends, Yadi aap nahi Jante hai ki Computer Full Form kya hota hai. To is post me bataya ja raha hai ki Computer ka full form kya hota hai aur saath hi iske bare me puri jankari diya ja raha hai is post ke madhyam se. To aap sab is article ko pura padhe aapko pura information Computer ke bare me mil jayega.

To aapko bata den ki Computer ka invention (आविष्कार) ham logo ke kaam ko aashan banane ke liye kiya gya hai. Computer word English ka ek word Compute se milkar bana hai jise hindi meaning me calculation karna hota hai to Computer ko ham (गणक या संगणक) ke Nam se jante hain. Computer ko early dino me sirf caculation karne ke liye banaya gya tha. Lekin jaise-jaise Technology badhne lagi to ham Computer ka use bhaut se tarike se karne lage. Jaise video call karna, song, movie dekhna internet ka upyog karna ityadi. Computer ke bare me log sochte honge ki iska full form kya hota hai to isliye maine socha ki is subject ke bare me kuchh article likha jaye. Computer Full Form

Computer Ka Full Form Kya Hota Hai?

Aapko bata de ki na jane kitne internet users google par search karte hain ki Computer Ki Full Form kya hota hai. To is post ke dwara aapko Computer ke full form se related puri jankari diya ja raha hai.

Computer ka official taur par koi full form nahi hai lekin practical taur par upyog hone bala full form ki ham baat karte hain To ise niche bataya gya hai.

Computer Ka Full Form in English

C.O.M.P.U.T.E.R – Commonly Operated Machine Particularly Used in Technical and Educational Research. 

Computer Full Form in HINDI:- C.O.M.P.U.T.E.R – कॉमनली ऑपरेटेड मशीन पार्टिकुलरली यूज़ड इन टेक्निकल एंड एजुकेशनल रिसर्च. 

Full form of computer in Hindi

C – COMMON
O – OBJECTIVE
M – MACHINE
P – PRACTICALLY
U – USED in
T – TRADE
E – EDUCATION &
R – RESEARCH

Computer ke is full form ko kisi bhi Competitive exam (प्रतियोगिता परीक्षा) me upyog nahi kar sakte hain kyonki yah bilkul sahi nahi hai. Yah practical taur par logo ke dwara create kiya gya hai taki ab aap kah skate hain ki Computer ka full form kya hota hai. Computer se related competition me puchhe jane bale kuchh important prashn ko is post me bataya gya hai.

Computer Se Related Most Important full form

Aap sab ko bata de ki Computer se related kuch aise full form hai jo ki Akshar Competitive Examinations me puchhe jate hai jo ki is post ke dwara bataye gye aapke liye bahut upyogi ho sakta hai.

  • RAM – Random-access memory
  • ROM – read-only memory
  • CPU – Central processing unit central
  • OS – operating system
  • HTTP – HyperText Transfer Protocol.
  • HTTPS – HyperText Transfer Protocol Secure.
  • IP – Internet Protocol.
  • URL – Uniform Resource Locator.
  • USB – Universal Serial Bus.
  • VIRUS – Vital Information Resource Under Seized.
  • DOC – Document (Microsoft Corporation)
  • PDF – Portable Document Format
  • IP – Internet Protocol.
  • DVX – DivX Video
  • HTML – HyperText Markup Language
  • UPS – Uninterruptible Power Supply.
  • CD – Compact Disk.
  • DVD – Digital Versatile Disk.

Meaning of Computer in Hindi

What is Computer Meaning in Hindi: Aapko bata den ki Computer ek aisa electronic machine/device hai jo ki data ko input karta hai aur us data par processing karke useful output provide karta hai. is data result, information ko hi output kahte hain.

Computer me data ko process, retractive aur store karne ki power hoti hai aur yaha modern electronic device hi jo arithmetic aur logical operation ko perform karta hai jo ki bahut kam time me hi processing karke output present Karta hai.

Computer ke madad se aap documents type kar sakte hain. Jaise ki aap kisi ke paas e-mail send kar sakte hain, usme aap game bhi khel sakte hain, Kisi paper ka printout bhi le sakte hain, Internet par Computer ki sahayata se information bhi search kar sakte hain, usme aap calculetions bhi kar sakte hain, Aap computer ke madad se bahut kuchh kar skte hain jo aapko bataya gya.

Father of computer: Charles Babbage (चार्ल्स बबेज) ko Computer ka ‘father’ kaha jata hai. चार्ल्स बबेज ke dwara design kiye gye mechanical computer ko Analytical engine bhi kaha jata hai. Yha punch card ke roop me Read-Only memory (ROM) ka use karte hain.

Computer program in Hindi?

Aapko bata den ki Computer me kaam karne ke liye kuchh rule banaye gye hain jo ki sequence of operations perform karte hain jise ham program kahte hain.

Computer 2 chejo se bana hai jo hai Software aur Hardware hai. Computer ko ham touch kar sakte hain lekin software ko nahi kar sakte. Kyonki Computer software wo set of programs hai jo computer ko kaam karne me help karta hai.

Computer ke parts aur kuchh dusri device aapas me ek dusre ke saath wire ke jariye jude hote hain jo niche bataya gya hai.

  • 1. Monitor
  • 2. CPU
  • 3. Keyboard
  • 4. Mouse
  • 5. Speakers
  • 6. Printer

Computer Kitne Prakar Ke Hote Hain

Computer basically 4 prakar ke hote hain. To sabse pahle unhe ham jaan lete hain.

  • Supercomputer:- Yah sabse powerful computer hota hai aur sabse costly (महंगा) bhi hota hai. Is tarah ke computer jyadatar bade organizations ke dwara hi use kiye jate hain. NASA bhi supercomputer ka upyog karte hain apne space, shuttles launch karne ke liye unhe control Karne ke liye aur space ko explore karne ke liye bhi upyog hota hai.
  • Mainframe Computer:- yah utna powerful nahi hota jitna ki supercomputer hote hain lekin phir bhi yah bahut costly hote hain. Government organizations jyadatar isi tarah ke computer ka upyog karte hain. Jaise Banks, Educational institution aur insurance companies bhi is tarah ke computer ka upyog apne grahak ke data store karne ke liye karte hain.
  • Minicomputer:- Is tarah ke computer ka upyog small business aur farms dwara kiya jata hai. Minicomputer ko ham mid-range computer ke nam se bhi jante hain.
  • Microcomputer:- Ham jo aamtaur par desktop computers, laptop, tablets, smart phones ka upyog karte hai bo microcomputers me aata hain. Is tarah ke computer sabse jyada use kiye jate hain aur yah baki computer se cheap (सस्ते) bhi hote hain. Is tarah ke computer entertainment, education, gaming aur dusre kaam ke liye banaya jata hai.

Bahut se log yah bhi janna chahte hain ki computer kaise kaam karta hai waise to computer ko kaam karte huye aap dekh nahi skate hain lekin smajh jarur sakte hain. To computer ko jab ham instruction dete hain keyboard aur mouse ki madad se tab bo instruction CPU tak jata hai aur CPU hamare diye huye instructions ka palan karta hain isi tarah se hmara computer kaam karta hai.

Advantages of Computer in Hindi – कंप्यूटर से फायदे

  • Computer human ke compared bahut teji se calculation kuchh hi second me karta hai.
  • Aap agar kahi bhi ho Computer ke jariye apne friends aur family ko e-mail, video call kar sakte hain.
  • Computer me internet ke jariye aap kisi bhi chij ki ticket book kar sakte hain. Jaise – Train ticket, Aeroplane ticket, Buss etc,-
  • Computer se aap kisi bhi family ko money transfer kar sakte hain.
  • Aur jo important bat hai bo aap kisi bhi chij ki information aap apne ghar se baithe baithe hi le sakte hain internet ke madhyam se.

To is post me hamne Computer Full Form, Computer ka Full Form kya hota hai wo jane. Aur aap sabhi ko is post ke me Computer Full Form ke saath Computer se jure aur bhi important bate aap sabhi ke saath share kiya gya. Jo ki is page se aapko pata chal gya hoga ki ham computer ko computer hi kyo kahte hain iske pichhe karan kya hai. To is post me bataya gya hai jise aap padhkar Computer ke bare jankari le sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment