Full Form

NGO Full Form In Hindi जानें NGO का फुल फॉर्म क्या होता है

NGO Full Form
Written by A to Z Classes

NGO Full Form:- Hello Friends, Kya Aap jante hain NGO ka Full Form kya hota hai, NGO kya hai, NGO kaise kaam karta hai, aur NGO kaise create karte hain. Agar aapka answer nahi hai to is article me aap sabhi ko iske bare me pura jankari diya ja raha hai. Aap is post ke madhyam se jan payegen ki NGO kya hai aur iski full form kya hota hai to iske bare me saari information is post me aap sabhi ko diya ja raha hai.

NGO Full Form in Hindi

NGO Full Form kya hota hai to bata den ki NGO ka Full Form Non Governmental Organization hota hai. Aur NGO ko hindi language me (गैर सरकारी संगठन) kaha jata hai. NGO ek aise Organization hai jo kisi bhi Government ke dwara operate (संचालित) nahi ki jati aur nahi kisi benefit ya kisi bhi company ka promotion ke liye banayi jati hai.

  • N – Non (गैर)
  • G – Governmental (सरकारी)
  • O – Organization (संगठन)

NGO [Non-Governmental Organization] ne hamesa ground level par ek important role play kiya hai. India me sabse popular NGO CRY, Smile Foundation, Teach For India, Akanksha Foundation, Akshaya Patra Foundation ityadi hai. NGO Ek Aisi Organization hai jis par Government ka koi interference nahi hota hai aur nahi iska Business Profit Purpose hota hai. Bata den ki NGO ka sthapna person ke dwara kiya jata hai ya Government aur Business Foundation ke dwara sthapit kiya ja sakta hai. India me lagbhag 2 Million NGO hai aur United States me lagbhag 1.5 Million NGO hai wahi Russia me lagbhag 277,000 Organization khule huye hain. Lekin iski sankhya aur badhti hi ja rahi hai.

NGO ek bahut bade group ka Organization hota hai jis par log bahut hi World Wide Range par kaam karte hain. NGO ka main udeshy hota hai ek dusre ko help karna bo bhi bina kisi charge ke.

NGO Ka Registration Kaise Kare

India me Non Government Organization ke Registration karne ki process 3 tarah se kiya jata hai ya ham aisa bhi kah sakte hain ki NGO ko 3 act me se kisi ek act me registration kar sakte hain ye 3 act kya ho iske bare me bhi is post me bataya ja raha hai.

1. Trust Act:- India ke alag alag states me Trust act hote hain lekin agar kisi state me koyi trust act nahi hai to us state me 1882 trust act lagu hota hai is adhiniyam ke antargat kam se kam do trustees hona bahut aavashyak hota hai.

Is act ke antargat NGO ka registration karne ke liye aapko Charity Commissioner ya Registar ke office me aavedan dena hota hai Trust act ke antargat NGO register karne ke liye aapko Deed called Document ki aavashyakta hoti hai.

2. Society Act:- Is act ke under registration ke liye Memorandum Of Association And Rules And Regulation Document ki aavashyakta hoti hai. Yah document bhaut hi important hota hai is document ko banane ke liye kam se kam 7 members ki jarurat hoti hai aur stamp paper ki aavashyakta padhti hai.

Ise Non Governmental Organization ke roop me Register kiya jata hai lekin kuchh state me jaise Maharashtra state me society act ke tahat NGO ko trustee ki taur par bhi registered kiya jata hai.

3. Companies Act:- Companies act ke under NGO ka registration karne ke liye Memorandum And Articles of Association And Regulation Document ki aavashyakta hoti hai.

Is document ko banane ke liye kisi bhi prakar ke stamp paper ka upyog nahi karna parta hai. Aur Is document ko banane ke liye kam se kam 3 members ka hona jaruri hai is act me Non Government Organization ko Companies act ke antargat registration kiya jata hai.

Types Of NGO

NGO Non-Governmental Organization kai prakar ke hote hai jise aap niche dekh sakte hain.

  • CSO – Civil Society Organization
  • SCO – Social change Organization
  • ENGO – Environmental NGO
  • INGO – International Non Government Origination
  • MANGO – Market Advocacy NGO

NGO Kaise Banaya Jata Hai,

Ab aap sochte honge ki NGO kaise banaya jata hai to agar aap bhi koyi NGO banana chahte hain to bata den ki NGO banane ke liye kuchh rules hote hain jo aapko malum hona chahiye ki Non Governmental Organization banane ki process bhi sabhi state me alag alag hoti hai. kisi bhi tarah ke NGO ka gathan karne ke liye aapke pass kam se kam 11 members hona jaruri hai.

Aapko bata den ki NGO ki start America ne kiya tha jo log social work ke liye kuchh achha karna chahte the ya jinke pass jyada money hota hai wo log Non-Governmental Organization ko start karte hai.

NGO ek Non government organization hai jiske liye start koyi bhi kar skta hai. NGO bina kisi benefit ke chahlaya jata hai kyonki NGO chalane bale ko kisi prakar ki earnings nahi hoti hai ye sirf dusre ke help ke liye chalaya jata hai Aur ye Organization government ke dwara bhi chalaya jata hai.

India’s most popular NGO

  • Karmayog
  • Goonjvv
  • Pratham
  • Deepalaya
  • Akshaya Trust
  • LEPRA Society
  • HelpAge India
  • Sargam Sanstha
  • Uday Foundation
  • Sammaan Foundation
  • Smile Foundation
  • Udaan Welfare Foundation

NGO Ke Kaam

Aapko bata den ki world me NGO different types ke social welfare ka purpose work Karte hain. ye Organization continues development karte rahte hain.

Aur yah kayi prakar ka work karti hai jiska main social mudde par kaam karna hota hai. Jaise ki kisi orphan childern ko eduction dena, childern ko book provide karna, har student ko achha food dilana aur bhi bahut saare kaam NGO ka hota hai.

Hmare india me top 5 Non Governmental Organization aise hain jinhone bahut achha hi work kiya hai aur unke work ko sabhi logo ko like bhi kiya hai jiska name niche diya gya hai.

  • Smile Foundation
  • Nanhi Kali
  • Giveindia Foundation
  • Goonj
  • Helpage India

To is post me aap sabhi ko bataya gya ki NGO kya hai aur iske kaam kya hota hai to iske bare me puri jankari aap sabhi ko is post ke dwara diya gya aur sabse pahle to yah hai ki iska full form bataya gya hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment