Contents
UGC Full Form in Hindi:- UGC Kya Hai, UGC Ka Full Form Kya Hai, UGC Kya Kam karta hai, Yadi aap UGC se juri jankari prapt karna chahte hai to is post me aap sabhi ke sath UGC ki puri Jankari Hindi me share ki gayi hai. Aise sabhi savalon ke javab aapko is article me mil jayenge.
Full-Form of UGC | UGC Ka Full Form
UGC ki Full Form – “University Grants Commission” hoti hai, UGC ko Hindi me “विश्वविद्यालय अनुदान आयोग” kahte hain. UGC ek aisa organization hai jo desh ke sabhi University ko Grants Pradan karti hai. UGC iske alaba Colleges ko Affiliation bhi pradan karti hai.
UGC Full Form in Hindi
तो जैसा कि आपने ऊपर में जाना की UGC का फुल फॉर्म विश्वविद्यालय अनुदान आयोग होता है जो की University Grants Commission का हिंदी है. आपको UGC के बारे में और ज्यादा जानकारी निचे दी जा रही है.
UGC Kya Hai?
UGC ki sthapna 1945 me hui aur iska Headquarter New Delhi me hai. UGC ke Chairman D.P Singh hain. UGC ko banane ka mukhya udeshya yah tha ki hamare desh me jitne bhi Universities hai un sabhi me samman star ki Shiksha di jaye. Aur Universities ke sabhi Students ko achhi tarah Shikshit kiya jaye. UGC university ke Education ko Promote karta hai.
UGC ki sthapna 1945 me 3 Central University – Aligarh, Bananras & Delhi ke Eduacation system ko dekhrekh karne ke liye ki gayi thi aur fir 1947 me UGC ke jimedari ko aur badha diya gaya aur desh ke sabhi University UGC ke dekhrekh me aa gye.
UGC Scientist aur Professional research ka ek Council hai. UGC ke dwara NET ka aayojan kiya jata hai. UGC pure Bharat me har saal ek varsh me do bar iska exam ka aayojan karti hai. Jaisa ki sabhi jante hi honge ki iska Exam 1989 me pahli bar aayoojit kiya gaya tha aur tab se lekar aaj tak iska Exam ek varsh me do bar aayojit kiya jata hai.
UGC Ki Puri Jankari Hindi Me
UGC aur AICTE do aisi Organization hai jo India ke Higher Education ko behatar banane ke liye kam karti hai. Isliye ye dono India ke Education system me bahut hi important role nibhati hai. UGC central government ke tahat kaam karti hai, jiska Headquarter New Delhi me hai. Yah institutions government ke dwara manyta prapt PG Universities ko Grants pradan karti hai. UGC hi University ko Affiliation bhi pradan karta hai. UGC ke andar bahut si Universities hai jinme se kuch is prkar hai:-
- Jawahar Lal Nehru University
- University of Lucknow
- University of Madras
- University of Hyderabad
- University of Calicut
- University of Delhi
- University of Calcutta
- University of Pune
Jaisa ki hamne aapko bataya UGC ke Chairman D.P Singh hai, aur iska Headquarter New Delhi me hai, aur UGC ka headquarter Pune, Bangalore, Kolkata, Hyderabad, Bhopal, and Guwahati me bhi sthathit hai.
UGC yah sunischit karta hai ki desh ki sabhi Universities me ek hi Level ki Education ho jisse ki us university se sabhi Passed students ka samman ho aur aisa karne ke liye sabhi University ke Teacher ki Knowledge samman honi chahiye.
UGC NET ka bhi sanchalan karta hai, jo ek yogyta ka naam hai. Jo ki UG aur PG Courses me padhane ke liye kisi vyakti ke liye aavashyak hai. UGC hi National Eligibility Test (NET) ka aayojan karta hai, Jise Passed karne ke aadhar par Colleges aur University me Professor aur Teacher appoint hote hai.
Puri tarah se 16 aise Institutions hai jinhe UGC control karta hai. Unme se kuch naam AICTE, RCI, DCI, aadi hai. In institution me Eduacation ki bat aane par UGC ka faisla antim hota hai. 2009 me yah prastav kiya gaya tha ki UGC ko band kar diya jana chahiye aur AICTE (All India Council for Technical Education) ko UGC ki bhumika nibhani chahiye. Halnaki UGC abhi bhi apna kaam kar raha hai.
UGC’s most important objectives
Doston, Hamare desh me UGC ke aur kya kya kaam hai un sabhi ke bare me hamne kuch points niche diye hai:-
- Hamare desh ke sabhi Universities me Research, Education aur Examination me ek Standard ko maintain rakhne ka kam UGC ke dwara hi kiya jata hai.
- UGC Indian government ko yah Advice dene ka kam karti hai ki desh ki Education system ko majbut karne ke liye kya Steps liye jane chahiye.
- Desh ke sabhi Universities ko Approve karne ka kaam bhi UGC karti hai.
- UGC apne antargat aane bali sabhi Colleges aur University ko Fund bhi provide karti hai.
UGC kuch Higher Education ke liye 16 tarah ke Exam ko Conduct karbati hai jaise ki:-
- All India Council for Technical Education (AICTE)
- Rehabilitation Council
- Council of Architecture
- Bar Council of India (BCI)
- Indian Nursing Council (INC)
- Dental Council of India (DCI)
- Medical Council of India (MCI)
- Pharmacy Council of India (PCI)
- Distance Education Council (DEC)
- State Councils of Higher Education
- Central Council of Homoeopathy (CCH)
- Rehabilitation Council of India (RCI)
- National Council for Rural Institutes
- Central Council of Indian Medicine (CCIM)
- National Council for Teacher Education (NCTE)
- Indian Council of Agricultural Research (ICAR)
Conclusion
To aaj ke is post me hamne jana ki UGC Kya Hai, UGC Ka Full Form Kya Hai, UGC Kya Kam karta hai, Hamne behad hi aasaan shabdo me ise samjhane ki kosis ki hai, yadi aapko koi bhi dikkat hui ho samajhne me to aap use niche Comment box me comment kar puch sakte hai. Yadi aapko yah UGC se juri jankari bali Post achhi lagi ho to ise apne Doston ke sath share jarur kare.
Hi
I want to know that who has fill this UGC NET form .
Bcs I’m pass-out to B.Com (A/C Hons) nd B.Ed in commerce (elementary education) now I want to admition in M.Com then what’s the nessecary to NET qualify for lectural.