Full Form

OBC Full Form in Hindi ओ बी सी का फुल फॉर्म क्या होता है

OBC Full Form
Written by A to Z Classes

OBC Full Form:- Hello Friends, Kya Aap OBC ka full form kya hota hai jante hain? ya OBC kise kahte hain, OBC ka pura naam hindi me kya hai, OBC ki suruaat kis liye kiya gya tha. Agar aap sabhi ko malum nahi to is article me bataya ja raha ki OBC ka full form kya hota hai aur iske bare me puri jankari diya ja raha hai, To aap is post ko last tak follow karke OBC ke bare me jankari parapt kar sakte hain.

OBC Full Form in Hindi

OBC Ka Full Form – Other Backward Class hota hai aur ise Hindi language me (अन्य पिछड़ा वर्ग) kaha jata hai. Bata den ki OBC ek bahut hi popular term hai jise Other Backward Class bhi kaha jata hai. Aaj ke Samay me hamare country ki bahut saare cast OBC me aati hai jiske bare me aap aur jankari niche se prapt karen.

To jaisa ki aap sabhi ko upar me bataya gya ki hamare country me sabhi cast ko alag – alag category me rakha gya hai. Usi me se ek category OBC hai, government ne India ki cast ko unki social aur economic ke adhar par bata gya hai Jisme kayi category shamil hain. SC(Scheduled Caste), ST(Scheduled Tribe), OBC(Other Backward Class) iske liye main hain. Isme se alag alag category ko social adhar par Sarkari yojana me exemption diya jata hai jis se in category ke log benefit pakar government job bhi aashani se pate hain.

(OBC) Other Backward Class Ki Jankari Hindi Me

OBC ek complete roop se other backward casts hai, Yah brief naam aamtaur par Naukri ki notification ki Saath entry possibilities me bhi dikhai deta hai. Aur OBC reserved candidate hain aur aarakshan ka laabh utha sakte hain. Aur ye candidate government recruitment me age me 3 years ka relaxation prapt karte hain.

OBC ko SC/ST se upar ka cast aur General se backward cast ka status yani (दर्जा) diya jata hai. Indian Constitution dwara in cast ko arthik roop se aur educational roop se Backward hi mana gya hai. Isliye Indian constitution me in sab cast ke liye reservation ki bhi arrangement kiya gya hai taki ye society ke other cast se bhi kandha milakar chal sakte hain.

Agar ham baat karen OBC ki to ham aap sabhi ko batana chahegen ki iski Indian constitution ke article 16(4) aur 340 hai Jaha backword category ke naam se added kiya gya hai. Lekin Aaj ke time me hamare country me OBC ki population lagbhag 42% hai jabki reservation 27% logo ko hi diya gya hai. Aur aap sabhi ko bata den ki saal 1980 me board commission ki ek report ke anusar OBC ka population country me 52% participation hain. Aur 2006 me national sample survey (राष्ट्रीय नमुना सर्वेक्षण) me paya gya hai ki iska data minus hokar 41% ke paas aa gya hai. Indian constitution me OBC ko social aur education area me backword categori ke roop me kiya gya hai. OBC ko public area me employment education me 27% reservation diya jata hai.

OBC – Oriental Bank Of Commerce (ओरिएंटल बैंक ऑफ कॉमर्स)

Aapko bata den ki OBC ka dusra full form Oriental Bank Of Commerce bhi hota hai. To ye jankari bhi aap sabhi ke saath share kar di gyi taki aap iske bare me bhi jaan saken ki OBC ka upyog aur kaha ho sakta hain. Banking Area me OBC ka matlab Oriental Bank Of Commerce hota hai.

Conclusion

Aap sabhi ko is post me bataya gya ki OBC ka full form kya hota hai aur bahut hi aashan word me is post ke madhyam se iske full form ke saath aur bhi jankari iske bare me aap sabhi ko bataya gay hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

3 Comments

Leave a Comment